![]() |
|
About the artist Paintings Custom Art Photographs Gallery Representation Awards/Recognition Shayari / Poems Upcoming Events Newsletter Links Contact FAQ Home |
उलझन
ज़िंदगी बड़ी उलझन अजीब है हमसे बेहतर परवाने का नसीब है मोहब्बत शरार-ऐ-कातिल ही सही खाख़ होने में विसाल तो नसीब है। मदहोश हवाओं का इशारा है चल पड़े की सोचा मंजिल करीब है उड़ जाते हम तूफानों के संग लेकिन रिश्तों सी ज़ंजीर दिल के करीब है। सुरमे दानी में साँस कैद है ये ज़रूर उनकी शातिर तरकीब है आँखों में हमे बसाके कहें बुरी नज़र से बचने की तरकीब है। गले लगाने की आज चाह सी है बाँहें फैलाये खड़ा शजर गरीब है बस छू कर निकल जाते हैं कई झोंके कोई तो ठहरेगा जो इश्क का गरीब है। देखे दूर से तमाशा वो है कभी कहता है तू मेरा हबीब है कब कौनसी डोर खींचे है किस तरफ़ "ज़िया" इक और वफ़ा, इक और मौत मेरा हबीब है. ------------ शरार : sparks of fire विसाल : union सुरमा : a form of kohl or kajal शातिर : tactful शजर : tree ------------ In Latin script........ Uljhan Zindagi badi uljhan ajeeb hai humse behtar parwane ka naseeb hai mohabbat sharaar-e-qaatil hi sahi khaakh hone mein visaal to naseeb hai. Madhosh hawaaon ka ishaara hai chal pade ki socha manzil kareeb hai ud jaate hum toofano ke sang lekin rishton si zanjeer dil ke kareeb hai. Surme daani mein saans qaid hai yeh zaroor unki shaatir tarqeeb hai aankhon mein hame basaake kahein buri nazar se bachne ki tarqeeb hai. Gale lagaane ki aaj chaah si hai baahein felaaye khada shajar gareeb hai bas chu kar nikal jaate hain kayi jhonke koi to dhehrega jo ishq ka gareeb hai. Dekhe door se tamasha woh hai kabhi kehta hai tu mera habeeb hai kab kaunsi dor kheenche hai kis taraf "ziya" ik or wafaa, ik or maut mera habeeb hai. ------------ sharaar : sparks of fire visaal : union surma : a form of kohl or kajal shaatir : tactful shajar : tree |
| Copyright © 2009
- 2010
Meenakshi Matai. All rights reserved. |
|